Khamoshi mein jo sunoge, woh awaz meri hogi,
Zindagi bhar saath rahe, wo dosti meri hogi,
Duniya ki har khushi tumhari ho,
Kyunki in sab ke peechhe duwa meri hogi...!
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Dunia mein jeene ke bhane hazar hote hain,
Jo jeete hain bina dosti ke woh bekar hote hai,
Jo karte hain sachchi dosti ki kadar
Bas wahi is dosti ke haqdar hote hai.
Kuchh fasle sirf aankhon se hote hain,
Dil ke fasle do baton se hote hai,
Koi lakh bhulane ki koshish kare,
Par dosti ke rishte khatam sirf saanson se hote hai.
Waqt bahut kam hai sath bitane ke liye,
Isko na ganwana kabhi roothne manane ke liye,
Dosti to hamne kar li aap se,
Bas thoda sa sath dena is ko nibhane ke liye.
Dosti nazron se ho to use kudrat kehate hain,
Sitaron se ho toh jannat kehate hain,
Aankhon se ho toh mohabbat kehate hain,
Aur dosti aap se ho toh kismat kehate hai.
Phool sookh jate hain ek waqt ke baad,
Log badal jate hain ek waqt ke bad,
Apni dosti bhi tootegi ek waqt ke bad,
Lekin woh waqt aayega meri maut ke baad.
Dost ka pyar dua se kam nahi hota,
Woh chahe door ho phir bhi koi gham nahi hota,
Aksar pyar mein dosti kam ho jati hain,
Magar dosti mein pyar kabhi kam nahi hota.
Jaam pe jaam pine se kya fayada,
Shaam ko pee subaha phir utar jayegi,
Peena hai to do bund dosti ke pee,
Sari zindagi teri nashe mein guzar jayegi.
Raat hogi to chand duhai dega,
Khwabon mein aapka chehra dikhai dega,
Yeh dosti hai zara soch ke karma,
Ek aansu bhi gira to sunai dega.