Sawal pani ka nahi pyaas ka hai,
Sawal maut ka nahi saans ka hai,
Dost to duniya mein bahut hain magar,
Sawal dosti ka nahi VISHWAS ka hai.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Woh dosti kya jisme dooriyan na ho,
Wo apnapan hi kya jisme ladai na ho,
Wo dil hi kya jisme jalan na ho,
Aur wo hum hi kya jisme tum na ho.
Jo pal pal chale woh hai zindagi,
Jo pal pal jalti rahe wo hai roshani,
Jo har pal khilti rahe wo hai mohabbat,
Aur jo kisi bhi pal saath na chhode wo hai dosti.
Aasman se utari hai,
Taron se sajai hai,
Chand ki chandni se nehlayi hai.
Sambhaal ke rkhna,
Ye 'DOSTI' meri zindagi bhar ki kamai hai.
Shukriya karo us khuda ka ki usne hamein banaya hai.
Kyonki ek pyara, achcha, smart & cute sa dost hamne na sahi tumne to paya hai.
Kafi hain sapne dil ko behlane ke liye,
Mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
Chahe bhale pade gham se vasta,
Ek hamare jaisa dost rakhna sub gamon ko bhulane ke liye.
Dosti ko dil se nibhayenge hum,
Tum bhool jao bhi to yaad dilayenge hum.
Aisi shararat karenge hum ki,
Na chahte hue bhi tumhe yaad aayenge hum.
Apni dosti phoolon ki tarah na ho,
Ek baar khile aur murjha jaye!
Dosti ho to kanto ki tarah ho!
Jo ek bar chube to baar-baar yaad aaye!
Chand adhoora hai sitaron ke bina.
Gulshan adhoora hai baharon ke bina.
Samundar adhoora hai kinaron ke bina.
Au jeevan adhoora hai yaron ke bina.