Tumse doori ka ehsaas jab sataane laga,
Tere saath har guzra lamha yaad aane laga,
Jab bhi tumhe bholne ki koshish ki,
Aye dost tu aur yaad aane laga.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Phoolon ki mahek ko churaya nahi jata,
Suraj ki kirno ko chhupaya nahi jata,
Kitni bhi duri ho dosti me,
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jata.
Dosti mein dooriyan to aati jaati rehti hain,
Fir bhi dosti dilon ko milati rehti hain,
Wo dost hi kya jo naaraz na ho,
Par sachchi dosti doston ko manaati rehti hai.
Dil ki galiyon mein koi gum na ho,
Hamari ye dosti kabhi kam na ho,
Yeh dua hai ki tum khush raho,
Kya pata kal hum ho na ho.
Ek hansi jo hansaa de...
Ek aansu jo rula de...
Ek aarzu jo jaga de...
Ek chaahat jo samajh le...
Har aahat jo jaan le ...
Usi rishte ka naam hai dosti.
Dosti hai khuda to ibaadat karo,
Dost hai Ali to wafaa karo,
Ya ali dost mile to aisa mile,
Jise dosti par shuba naa ho.
Yeh chand bhi kya ajeeb sitam dhaata hai,
Bachpan mein mama aur jawani mein dost nazar aata hai.
Hum dosti ka farz nibhate rahenge,
Waqt-be-waqt apko satate rahenge,
Dua karo ki umar lambi ho hamari,
Agar mar gaye to bhoot ban kar,
Aapko har waqt darate rahenge.