Bahut kuch likhna abhi baaki hai,
Kuch saath shayad baaki hai,
Bas ek baat se dar lagta hai doston,
Hum ajnabi na ban jayein doston,
Zindagi ke rangon mein dosti ka rang feeka na pad jaye,
Kahin aisa na ho doosre rishton ki bheed mein dosti dum tod jaye.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Dilon ko saudagar hazaar mil jayenge,
Tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge,
Milega na tum ko hum jaisa koi,
Milne ko to dost beshumaar mil jayenge.
Wo mulakat kuch adhuri si lagi,
Pass ho kar bhi doori si lagi,
Hathon par mehndi ankhon mein nami si lagi,
Pehli baar kisi ki dosti dil ko zaruri si lagi.
Na salaam yaad rakhna,
Na paigaam yaad rakhna,
Dil ki dili tammana hai,
Bas apne is dost ka naam yaad rakhna.
Aye dost chale aao hum tumhe yaad karte hain,
Yeh woh khata hai jo hum baar-baar karte hain,
Jala ke dil me hasraton ke chirag,
Aapke aane ka intezaar karte hain.
Mere kuch dost mujhe yoon bhi sataane aaye,
Khud mujhe mera hi afsaana sunane aaye,
Din ke dhalte hue lamhon ki kiran wo lekar,
Mere tareek-e-muqaddar ko jagaane aaye.
Har kali tumse khuhsboo udhar mange,
Aftab tuhjse noor udhar mange,
Rab kare tu dosti aise nibhaye,
Ki log mujhse teri dosti udhar mange.
Khushnaseeb hain hum ki mile aap mujhe,
Tanha zindagi ke safar mein mila saathi anmol mujhe,
Gham ke badalon ne kabhi gher rakha tha mujhe,
Ab badalon ko cheer ke bhi suraj deti hai roshni mujhe.
Aye dost kismat mein mere iss se pehle itni khushi kabhi na thi,
Aap ne saath hamara deke dard ko bhulana sikha diya mujhe,
Hum to rote the uski yaad mein,
Dost aap ne aansuon ko peena sikha diya mujhe.
Uss dhokebaaz ne to maar hi dala tha humein,
Dosti ki taqat se jeena sikhaya aap ne mujhe.