Agar hum khud ko bhool jaayein to koi gham nahi,
Agar aapko bhool jaayein to woh hum nahi,
Chaahte hain hum doston ko jaan se bhi zyada,
Unke liye apni jaan bhi chali jaaye to koi gham nahii.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Kuchh meethe pal yaad aate hain,
Palkon par aasnu chhod jaate hain,
Kal koyi aur mil jaaye to hamein na bhool jaana,
Dosti ke rishte zindagi bhar kaam aate hain.
Khushi itni ho ki aap dikha sako,
Gham bas itna ho ki aap chhipa sako,
Zindagi mein ek dost aisa rakhna,
Jiske liye aap dukh mein bhi muskura sako.
Kehte hain dost banana zindagi hai
Dosti nibhana zindagi hai
Kitne bhi busy kyun na rahe din bhar
Magar ek pal ke liye hi sahi
Doston ki yaad aana hi zindagi hai
Teri muskuraht meri pehchaan hai,
Teri khushi meri jaan hai,
Kuchh bhi nahi meri zindagi
Bas itna samajh le ki tera dost hona meri shaan hai!
Khusboo ki tarah meri sanson mein rehna..
Lahu banke meri nas nas mein behna..
Dosti hoti hai rishton ka anmol gehna..
Isliye dost ko kabhi alvida na kehna....
Woh yaad nahi karte,
Hum bhula nahi sakte.
Woh hansa nahi sakte,
Hum rula nahi sakte.
Dosti itni khoobsurat hai hamaari ki...
Woh bata nahi sakte,
Aur hum jata nahi sakte.
Dost shabd nahi jo mit jaaye
Umra nahi jo dhal jaaye
Safar nahi jo kat jaaye
Yeh woh ehsaas hai
Jiske liye jiya jaaye to
Zindagi kam pad jaaye.