Dosti ki judai ka gham mat karna,
Door rehke bhi dsoti kam mat karna,
Agar mile zindagi ke kisi mod pe to,
Hamein dekhkar aankhein band mat karna.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Ek phool bhi aksar baag saja deta hai.
Ek hi sitara sansar chamka deta hai,
Jahan duniya bhar ke rishte bhi kaam nahi aate,
Wahin ek dost zindagi bana deta hai.
Har raat chand ka shingar nahi milta,
Har bagh ko phool ka dular nahi milta,
Hamnein bhi duniya dekhi hai,
Har insan ko aap jaisa yaar nahi milta.
Hum apni dosti ko yaadon mein sajayenge,
Door rehkar bhi band aankhon mein nazar ayenge,
Hum koi waqt nahi jo beet jaayenge,
Jab yaad karoge tab chale aayenge.
Waqt aur khushi tere gulam honge,
Har pal aur pehlu tere hi naam hoge,
Zara mud ke dekhna mere dost,
Har kadam ke neeche mere hathon ke nishan hoge.
Har lafz ko kagaz pe utara nahi jata,
Har naam ko sare-aam pukara nahi jata,
Hoti hai dosti mein kuchh raaz ki batein,
Yun hi to is khel mein hara nahi jata.
Dosti achchi ho to waqt ruk jata hai,
Aasma lakh ooncha ho jhuk jata hai,
Dosti mein duniya lakh bane rukawat,
Magar dost sachcha ho to zamana jhuk jata hai.
Har karz dosti ka kaun ada karega,
Jab hum hi na rahenge to dosti kaun karega,
Aye mere khuda mere doston ko salamat rakhna,
Warna meri shaadi mein dance kaun karega.