Aye khuda dua ye meri khali na jaye,
Ke mere dost ki palkon mein kabhi aansu na aaye,
Aansu nikle to khushi ke nikle,
Gham ke aansu mere hisse mein aa jaye.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Har dua kubul nahi hoti,
Har aarzu poori nahi hoti ...
Jinke dil mein aap jaise dost rehte hon,
Unke liye dhadkan bhi zaruri nahi hoti....
Aap ki yaad aayi, aankhein khuli.
Warna jagne wale hum na the,
Dosti se jinda hain aap ki,
Warna jinda rehne wale hum na the.
Suna hai asar hota hai baton mein,
Tum bhi bhool jaoge do chaar mulakaton mein,
Hamse rooth kar jaoge kahan,
Tumari to dosti ki lakeer hai in hathon mein.
Dost ne dosti ke liye dost ko bhula diya,
Kya hua jo kisi aur ke liye aapne hamein bhula diya,
Hum to waise bhi akele the,
Kya hua jo aapne hamein ehsas dila diya.
Ek dost ka wada hai marte dum tak saath nibhayenge,
Maut aaye to tumse pehle hum jayenge,
Tumko na bhool payenge,
Isi liye tumko bhi saath le jayenge.
Dosti ki judai ka gham mat karna,
Door rehke bhi dsoti kam mat karna,
Agar mile zindagi ke kisi mod pe to,
Hamein dekhkar aankhein band mat karna.
Ek phool bhi aksar baag saja deta hai.
Ek hi sitara sansar chamka deta hai,
Jahan duniya bhar ke rishte bhi kaam nahi aate,
Wahin ek dost zindagi bana deta hai.
Har raat chand ka shingar nahi milta,
Har bagh ko phool ka dular nahi milta,
Hamnein bhi duniya dekhi hai,
Har insan ko aap jaisa yaar nahi milta.