Koi ho baat, na dil se lagana,
Agar apna samjho, to hi batana,
Bhool ho humse to hamein samjhana,
Samjho jo haq to hum par jatana,
Kee hai jo dosti to dil se nibhana.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Tu nahi to zindagi mein kya reh jayega,
Door tak tanhaiyon ka silsila reh jayega,
Har kadam pe saath chalna aye dost,
Warna tera yeh dost tanha mar jayega.
Kabhi-kabhi teri palkon pe jhilmilau main,
Yeh nahin mumkin ke tu kare intezar aur na aau main,
Samundar me le jakar fareb na kar aye dost,
Tu kahe to kinare pe doob jau main.
Khud pe bharosa hai to khuda tere sath hai,
Apno pe bharosa hai to har dua tere sath hai,
Zindagi se haarna mat aye dost
Tera yeh dost har pal tere sath hai.
Zindagi aisi ho jo jine ko majboor kare,
Rahein aisi ho jo chalne ko majboor kare,
Khushboo kabhi dosti ki kam na ho,
Dosti aisi ho jo milne ko majboor kare.
Dosti mein dost dost ka khuda hota hai,
Mehsoos tab hota hai jab dost dost se juda hota hai,
Tum milo na milo koi gham nahin,
Bas baat karo yeh kam nahi,
Dosti mein dhokha de woh hum nahin,
Apni dosti "Rang De Basnti" se kam nahi.
Dosti ko bhulna galat baat hai,
Unhi ka zindagi bhar ka sath hai
Agar bhool gaye to khali hath hai,
Aur agar sath rahe to zamana kahega WAH KYA BAT HAI.
Raahi badal jate hain,
Par raaste nahi badalte,
Tufaan aaye fir bhi mausam nahi badalte,
Gile shikwe bhale kitne ho magar sachche dost nahi badalte.
Aye kalam zara dhire dhire chal.
Kya gazab ka mukam aya hai.
Thehar ja kuchh pal ke liye.
Teri nok ke neeche mere DOST ka naam aya hai.