Dosti mein choti-choti baton se shikva na karna,
Gila tab karna jab hum dosti tod denge,
Kyunki aisa tabhi hoga jab hum ye duniya chod denge.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Wada Na Karo Agar Tum Nibha Na Sako,
Chaho Na Usko Jise Tum Pa Na Sako,
Dost To Duniya Me Bahot Hote Hai,
Par Ek Khas Rakho Jiske Bina Tum Muskura Na Sako.
Behte ashko ki zuban nahi hoti,
Lafzo mein mohobbat bayan nahi hoti,
Mili hai dosti isko nibhana,
Kismat hamesha meherban nahi hoti.
Palko par dastak dene koi khwab aane wala hai,
Khabar mili woh khwab sach hone wala hai,
Hamne kaha uski palko par jaa,
Jo dost mera abhi sone wala hai.
Shubh Ratri
Dosti achchi ho to rang laati hai,
Dosti gehri ho to sabko bhaati hai,
Dosti nadaan ho to toot jaati hai,
Aur agar dosti aap se ho to itihaas ban jaati hai.
Guzare huye kal ki yaad aati hai,
Kuch lamhon se aakhen bhar aati hai,
Woh rangeen shaam nirali doob jati hai,
Jab aap jaise dost ki yaad aati hai....
Roshni ho to diya jalta hai,
Shama ho to parwana jalta hai,
Rishte na ho to dil jalta hai,
Aap jaise saathi ho to zamana jalta hai.
Dosti insaan ki zaroorat hai,
Dilon pe dosti ki hukamat hai,
Aap ke pyar ki wajah se zinda hain warna,
Khuda ko bhi hamari zarorat hai.