Aisa dost chahiye jo hume apna maan sake,
Humare har dukh ko jaan sake.
Chal rahe ho hum tez barish mein,
Phir bhi pani mein se aansuon ko pehchan sake.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Nazarein mila ke nazarein chura mat lena,
Dost bana kar dushman bana mat lena.
Mana ki tumse bahut dur rahte hain hum,
Isi baat ka bahana bana kar bhula na dena,
Har kadam par imtihan leti hai zindagi !
Har waqt neye sadme deti hai zindagi !
Hum zindagi se shikwa kaise karen !
Ke tum jaisa dost bhi to deti hai zindagi !
Apko dekhne ki hasrat si ho gayi hai,
Ab is kadar chahat si ho gayi hai.
Ap milo na milo ae dost,
Apko dil mein rakhna adat si ho gayi hai.
Phul bankar muskurana zindagi hai,
Muskura ke gum bhulana zindagi hai.
Mil kar khush hue to kya baat hai,
Bina mile hi dosti nibhana zindagi hai.
Rishton ki dori kamzor hoti hai,
Aankhon ki baaten dil ki chor hoti hai.
Khuda ne jab bhi puchha dost ka matlab,
Humari ungli aapki or hoti hai.
Taqdir ne chaha taqdir ne bataya,
Taqdir ne tumko or humko milaya.
Khushnasib thay wo pal ya hum,
Jab aap jaisa anmol dost is zindagi me aaya.
Kahi unkahi batoon ki ada hai dosti,
Har ranj-o-gham ki dawa hai dosti.
Zameen par kami hai pujne walo ki,
Warna is zameen par khuda hai dosti.