
Dosti me dooriyan to aati rehti hain,
Phir bhi Dosti Dilo ko mila deti hai,
Wo Dost hi kya jo naraz na ho,
Per sachchi Dosti Dosto ko mana hi leti hai.

Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Dosti me dooriyan to aati rehti hain,
Phir bhi Dosti Dilo ko mila deti hai,
Wo Dost hi kya jo naraz na ho,
Per sachchi Dosti Dosto ko mana hi leti hai.
Khuda se koi baat anjan nahi hoti,
Har kisi ki neeyat be-iman nahi hoti,
Kabhi manga hoga aapne ek pyara dost,
Yun hi aapki hamse pehchan nahi hoti.
Dosti koi farz nahin...Ek rishta hai yeh.
Raishte jo khoon se nahin... Dil se bandhe.
Dil jo kuchh pal ko mile... Mile zindagi bhar ke liye.
Ek zindagi kabhi puri nahin hoti... Aziz dost ke liye.
Muskurana hi khushi nahi hoti,
Umar bitana hi zindagi nahi hoti,
Khud se bhi zyada khayal rakhna padta hai doston ka,
Kyoki dost kehna hi dosti nahi hoti.
Nigahon mein aur koi dosti ke kabil na raha,
Is kinare ka aur koi sahil na raha,
Chand jaisa dost mila humein zamin par,
Aasma ka chand bhi ab deedar ke kabil nahi raha.
Mehek dosti ki, ishq se kam nahin hoti,
Yeh duniyan ishq pe khatam nahin hoti,
Agar saath ho zindagi mein sacche doston ka,
To yeh zindagi kisi jannat se kam nahin hoti...!!!
Dosti Ghazal hai, gungunaane ke liye.
Dosti nagma hai, sunaane ke liye.
Yeh vo jazba hai jo sabko milta nahin,
Kyun ke hausla chaahiye dosti nibhaane ke liye.
Kya khabar tum ko dosti kya hai,
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai,
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai,
Bohat anmol ik heera bhi hai.
Dosti ek haseen khwaab bhi hai,
Pass se dekho to sharab bhi hai,
Dukh milne pe ye azab bhi hai,
Aur ye pyar ka jawab bhi hai.
Dosti yoon to maya jaal bhi hai,
Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai,
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai,
Kabhi zameen to kabhi aasmaan bhi hai.
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai,
Dil main reh jaye tou kassak bhi hai,
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai,
Dosti saaz bhi hai sangeet bhi hai.
Sher bhi, nazam bhi, geet bhi dosti hai,
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai,
Dil se nikli dua bhi dosti hai,
Ab aur kya kahoon, bus itna samajh le tu,
Jo pyar log karte hain,
Uski inteha bhi dosti hai.