Peete nahin hain hum fir bhi,
Aapki dosti mein doob jane lage,
Aap hi sochiye kitne pyare ho aap,
Jo khuda ko chhod ke hum aapki kasme khane lage.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Ghazal ki zarurat mehfil mein hoti hai,
Pyaar ki zarurat dil mein hoti hai.
Bina dost ke adhuri hai zindagi,
Kyon ki dost ki zarurat har pal mein hoti hai.
Khushi bhi doston se hai
Gham bhi doston se hai
Takraar bhi doston se hai
Pyaar bhi doston se hai
Roothna bhi doston se hai
Manana bhi doston se hai
Baat bhi doston se hai
Misaal bhi doston se hai
Nasha bhi doston se hai
Shaam bhi doston se hai
Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai
Zindagi main mulakaat bhi doston se hai
Mohabbat bhi doston se hai
Inaayat bhi doston se hai
Kaam bhi doston se hai
Naam bhi doston se hai
Khyal bhi doston se hai
Armaan bhi doston se hai
Khwab bhi doston se hai
Maahol bhi doston se hai
Yaadein bhi doston se hai
Mulakaatein bhi doston se hai
Sapne bhi doston se hain
Apne bhi doston se hai
Ya yun kahun yaro
Apni to duniya hi doston se hai.
D- DASTAK BHI NA DE.
O- OR APNA BANA LE.
S- SARI JINDEGI JO SATH DE.
T- TAKDIR JO SAWAAR DE.
I- ISI RISTYE KO DOSTI KEHTE HAI.
Mann mein aapki har baat rahegi,
Basti chhoti hai magar aabaad rahegi,
Chahe hum bhuladen zamane ko,
Magar aapki ye pyari si dosti hamesha yaad rahegi.
Haqeekat mahobbat ki judai hoti hai,
Kabhi kabhi pyar mein bewafai hoti hai,
Hamare taraf hath badhakar to dekho,
Pata chalega ki dosti mein kitani sachchai hoti hai.
Vishwas karna hum dosti apni nibhayenge,
Jab bhi bulaoge hamen har baar aayenge,
Agar khuda bhi bulayega to kah denge,
Dost agar ijazat dega to hi hum aayenge.
Dosti ek nagama hai jise gungunata hun main,
Dosti wo rishta hai jise nibhata hun main,
Akele zindagi kat nahi sakti hai,
Isiliye aap jaise pyare dost ko banata hun mai.
Sitaron ke bagair asman mein kya rakha hai,
Bin tere jeene mein rakha kya hai?
Lagta hai sub kuch adhura sa,
Dosti ke bagair duniya mein rakha kya hai?
Duniya ki lahar hai dosti,
Dhalti shaam ka khula aasman hai dosti,
Jinko samajh mein aa jaye to wo malamal,
Warna bina iske bilkul kangal hai zindagi.
Jab dosti ki dastaan waqt sunayega,
Hum ko bhi koi shakhs yaad ayega,
Tab bhool jayenge zindagi ke gamon ko,
Jab aap ke saath guzra who waqt yaad ayega.
Apki dosti ki ek nazar chahiye,
Dil hai beghar ise ek ghar chahiye.
Chhodna na kabhi mera sath,
Kyun ki aapki dosti hame umer bhar chahiye.