Waqt ki raahon me aap bhula de chahe hame,
Par hum aapko bhula nahi payenge.
Teri dosti ki kasam aye dost,
Tu awaaz de sapne me hum haqeeqat me chale aayenge.
Dosti Shayari
Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.
Beshak kuch waqt ka intezar mila humko,
Par khuda se badhkar DOST mila humko.
Na rahi kisi jannat ki tamanna,
Ae DOST teri dosti se itna pyar mila humko!!
Hasna hamara kisi ko ganvara nahi hota,
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota,
Milte hai bahut log is tanha zindagi me,
Par har DOST tumsa PYARA nahi hota...
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Lafz aap do, geet hum banayenge.
Manzil aap pao, raasta hum banayenge.
Khush aap raho, khushiyan hum dilayenge.
Aap bas dost bane raho, dosti hum nibhayenge.
Kya zamaana tha, hum roz mila karte the;
Raat bhar chaand ke humraaz fira karte the..
Dekh kar jo chup-chaap guzar jaate hain,
Kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the.
Kal na phir ye samaa hoga,
Hum mein se kaun na jaane kahan hoga..?
Murjhaaye phool to mil jayenge kitaabon mein,
Par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga...
Jiss k pass kuch nahi uss pe duniya hasti hai
Jiss k pass sab kuch hai uss se duniya jalti hai
Hamare paas app ki dosti hai
Jisse pane k liye duniya tarasti hai
Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho....
.... Toh itihaas banaati hai !
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !
Dost ek saahil hai tufaano ke liye,
Dost ek aaina hai armaano ke liye,
Dost ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!
Raatein gumnaam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jeete hai,
Ki har lamha doston ke naam hota hai !
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon !!
Aye dost teri dosti uss ghadi tadpaayegi,
Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi naa aayegi ! ...