Yadein hoti hain satane ke liye,
Koi roothta hai phir maan jane ke liye,
Rishte banana koi mushkil to nahi,
Jaan bhi chali hai nibhane ke liye.
Hindi Shayari
Hindi Shayari of this site is a beautiful concept to share the thought about Shayari. So don't waste your cute thoughts and hindi shayari but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari with world and we encourage all types of hindi poetry like Hindi SMS Shayari, Original Hindi Shayari. So, what are you waiting for, Just start posting your Hindi Shayari. If you like any Hindi Shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these Hindi Shayari.
Chalo so jayein,
Chalo kho jayein,
Bhool jayein zindagi ki jaddhojahad,
Ankhein band kar,
Kuchh derr ke liye hi sahi,
Door dushwarion se,
Khwabon ki duniya mein,
Gham ho jayein,
Chalo so jayein
Chalo kho Jayein !!
Sabhi ko sab kuchh nahin milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahin milta,
Yeh dil walon ki dunia hai dost,
Kisi se dil nahin milta to koi dil se nahin milta.
Taqdeer ke khel se kabhi mayoos nahi hote,
Zindagi mein aise kabhi udaas nahi hote,
Hathon ki lakeeron par vishwas mat karna,
Taqdeer to unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote.
Aashiyane ki baat karate ho,
Dil jalane ki baat karate ho,
Saari duniya ke ranj-o-gam de kar,
Muskurane ki baat karate ho.
Hum ko apni khabar nahin yaaron,
Tum zamane ki baat karate ho,
Zikrr mera suna to chidh ke kaha,
Kis diwane ki baat karate ho.
Hadasaa tha guzar gaya hoga,
Kis ke jaane ki baat karate ho.
Aaj ke daur mein aye dost ye manzar kyon hai,
Zakhm har sar pe har ik hath mein patthar kyon hai.
Jab haqiqat hai ke har zarre mein tu rehata hai,
Phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyon hai.
Apna anjaam to malum hai sab ko phir bhi,
Apni nazron mein har insaan sikandar kyon hai.
Zindagi jeene ke qaabil hi nahi ab,
Warna har aankh mein ashkon ka samandar kyon hai.
Sham suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parwane ko jalana sikhati hai,
Girne wale ko hoti to hai takleef,
Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.
Zindagi hai chhoti, har pal mein khush raho...
Office me khush raho, ghar mein khush raho...
Aaj paneer nahi hai, dal mein hi khush raho...
Aaj gym jane ka samay nahi, do kadam chal ke hi khush raho...
Aaj doston ka sath nahi, TV dekh ke hi khush raho...
Ghar ja nahi sakte to phone kar ke hi khush raho...
Aaj koi naraaz hai, uske is andaz mein bhi khush raho...
Jise dekh nahi sakte uski awaz mein hi khush raho...
Jise paa nahi sakte uski yaad mein hi khush raho...
Laptop na mila to kya, Desktop mein hi khush raho...
Bita hua kal ja chuka hai, us se meethi yaadein hai, unme hi khush raho...