Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma ke sitaron ki tarah hamare armaan bhi bikharte rehte hain,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta.
Hindi Shayari
Hindi Shayari of this site is a beautiful concept to share the thought about Shayari. So don't waste your cute thoughts and hindi shayari but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari with world and we encourage all types of hindi poetry like Hindi SMS Shayari, Original Hindi Shayari. So, what are you waiting for, Just start posting your Hindi Shayari. If you like any Hindi Shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these Hindi Shayari.
Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko uchhala nahi jata,
Mehnat karne se mushkilein ho jati hai aasan,
Kyon ki har kaam taqdeeron par tala nahi jata.
Bhagwan ne insan ko kya se kya bana diya,
Kisi ko kavi to kisi ko katil bana diya,
Do phoolon ka wajan na utha sakti thi Mumtaz,
Sahjahan ne uske liye tajmahal bana diya.
Kaatil adaon ka pitaara,
Le aaya wo Jaadugar,
Fasane kisi mohtarma ko,
Fir aaya woh Jaadugar.
Meethi meethi karta woh baatein,
Sajaata ankhiyon mein khwab,
Natkhat�jagata saari�raatein,
Lekin har lutf�kar de dil betaab.
Hasi ke fawware,
Fir laaya woh jaadugar,
Kamsin hoton ko khilaane,
Fir aaya woh jaadugar.
Bhatakti nazre�dhoondhti us ek ko,
Jis par hoga agla waar,
Churakar chupke se dil ko,
Bachaa na koi woh tez nazron ke dhaar.
Ghayal karne masoom dilon ko,
Fir aaya woh jaadugar,
Ruswaa karne sabhi mehfilon ko,
Fir aaya won jaadugar.
Khili ek�nazuk kali,�anjaan�uske tewar se,
Dekh�kali ko�jaadugar khush huaa dil hi dil mein,
Ja pahuncha pehlu mein nadaaan mann ko behlaane,
Lut gayi kali ki kismet jo aa gayi uski baton mein.
Tabaah��kar uske wajood ko,
Fir bhaaga woh jaadugar,
Dhoondhne koi aur kali,
Fir kahin pahuncha wo jaadugar.
Haseeno ko apne jaal mein phaasne,
Fir aaya woh jaadugar.
Kuchh sitaron ki chamak nahi jaati,
Kuchh yadon ki khanak nahi jaati,
Kuchh logon se hota hai aisa rishta,
Ke door reh ke bhi un ki mehak nahi jaati.
Khairaat mein mili hui khushi mujhe achchi nahi lagti.....
Main apne dukhon mein bhi rahta hoon nawabon ki taraha.
Fitrat aur haalat mein tasadum hai warna ...
Insan kabhi dil ka bura nahi hota................!!!!!!!!!!!!!
Kis kadar anjaan hai yeh silsila-e-ishq bhi,
Muhabbat to kayam rehti hai magar "Insan" toot jate hain!