Kagaz ki kashti thi aur pani ka kinara tha,
Khelne ki masti thi aur dil awara tha,
Kahan aa gaye jawani ke daldal main,
Kya kahen bachpan hi kitna pyara tha,
Utra tha chaand mere aangan main,
Yeh sitaroan ko gawara na tha,
Main to sitaroan se bagawat kar leta,
Par chand bhi kaha hamara tha.
Hindi Shayari
Hindi Shayari of this site is a beautiful concept to share the thought about Shayari. So don't waste your cute thoughts and hindi shayari but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari with world and we encourage all types of hindi poetry like Hindi SMS Shayari, Original Hindi Shayari. So, what are you waiting for, Just start posting your Hindi Shayari. If you like any Hindi Shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these Hindi Shayari.
Phoolon se jaise ye bhavrey mehak chura rahein hain,
Chand ko jaise yeh badal chchupa rahein hain.
Andhere hajaron jaise roshni ko mita rahein hain,
Shayad hum tumse door jaa rahe hain.
Yeh sheeshe yeh sapne yeh dhage,
Kise kya khabar hai kahan toot jaye.
Mohhabat ke dariya main tinke waffa ke,
Na jane yeh kiss mod par doob jaye.
Murradon ki manzil ke sapno main khoye,
Mohabbat ki raho pe hum chal pade they.
Zara dur chal ke jab aankh khuli to,
Kadi dhoop mein hum akele khade they.
Jab bhi dill mein koi vichar aata hai ,
Mera dill khamosh hokar rah jata hai.
Koi sab kuch keh kar pyar jatata hai,
Aur koi kuch na keh kar bhi sabh kuch keh jata hai.
Shikayat hai unhe ke hame mohabbat karna nahi aata,
Shikwa to iss dil ko bhi hai par ise shikayat karna nahi aata .
Dhoondta tha ke kaun mera saath nibhayega saaye ki tarah,
Sochta hu ke kaun mere jazbaton ko samjhega yaha,
Par jab khayal aaya unka jinhone hame kabhi akela nahi chchoda,
To laga in tanhayion se aachcha saathi mujhe milega kaha!!!
Phooloan se kya dosti karte ho,
Phool to murjha jaate hain.
Aggar dosti karni hai to kaanton se karo,
Kyun ki woh chubh kar bhi yaad aatein hain.