Zindagi mein kisi ko is kadar mat pyar karo,
Ki zindagi bina unke aadhori lage,
Mohhabat is kadar karo ki,
Hamari mohhabat ke bine woh aadhoori lage.
Hindi Shayari
Hindi Shayari of this site is a beautiful concept to share the thought about Shayari. So don't waste your cute thoughts and hindi shayari but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari with world and we encourage all types of hindi poetry like Hindi SMS Shayari, Original Hindi Shayari. So, what are you waiting for, Just start posting your Hindi Shayari. If you like any Hindi Shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these Hindi Shayari.
Hamein ek ghar banaana tha, yeh hum kya banaa baithe,
Kahin mandir bana baithe, kahin masjid bana baithe,
Hoti nahi firka parasti parindon mein kyun,
Kabhi mandir pe jaa baithe, kabhi masjid pe ja baithe.
Kabhi-kabhi khud apni tarakki se bhi ho jaata naraz hoon main,
Isi bhaag daud mein khud apnon se door ho gaya aaj hoon main.
Jis aanchal ke saaye mein reh ke kisi laayak ban paaya,
Us maa se hi milne ko chand chhutti ka mohtaaj hoon main.
Agar manzil pana hai to HAUSALA sath rakhna,
Agar pyar pana hai to AITBAR sath rakhna,
Aur agar chaho hamesha muskurana,
To sab bhoolkar bas HAMEIN yaad rakhana.
Ya khuda meri duaon mein itna asar karde,
Khushiyan use, dard uska mujhe nazar kar de.
Dilon se dooriyon ka ehsaas mita de ya maula,
Nahin to uske aanchal ko mera kafan kar de.
Unki duaon ka hum par asar dekhiye,
Kahan reh gayi thi ye kasar dekhiye.
Hum to nazar aayenge har ishq mein,
Is jahan mein aap apni basar dekhiye.
Bhool baitha hai shayad woh is gaon ko,
Kya hona hai ab haal-e-sahar dekhiye.
Ek baar yun hi sahi rakhne ko dil mera,
Dar par mere zara kabhi thahar dekhiye.
Haal us ka mere chehre pe likha lagta hai,
Woh chup chaap khadaa hai mera kya lagta hai.
Yun tu har cheez salaamat hai meri duniya mein,
Ek rishta hai jo toota hua sa lagta hai.
Maine socha tha ke aabaad hoon ek shehar mein,
Yahan to har shakhs ka andaaz judaa lagtaa hai.
Wo khafa bhi hota hai to zahir nahi karta,
Kasoorwar hain hum ye bhala khabar kaise ho,
Jiske deed se dhadkano ko rahat hoti hai,
Aadin bina us chand ke zindagi ye basar kaise ho.