Kya bharosa hai zindagi ka
Insaan bulbula hai paani ka
Jee rahe hain kapde badal badal kar
Ek din ek kapde mein le jaayenge kandhe badal kar.
Woh Dhaga Hi Tha
Woh dhaga hi tha jisne poora jeevan motiyon ko de diya,
Aur yeh moti apni tareef par itraate rahe umra bhar.
More Hindi Shayari
Kya Bharosa Hai Zindagi Ka
Girna Bhi Achcha Aai
Girna bhi achcha hai
Aukaat ka pataa chalta hai
Badhte hain jab hath uthane ko
Apno ka pataa chalta hai!
Jinhein gussa aata hai
Woh log sachche hote hain
Maine jhoothon ko aksar
Muskuraate huye dekha hai
Seekh raha hoon main
Ab bhi insanon ko padhne ka hunar
Suna hai chehre par
Kitaabon se zyada likha hota hai.
Waqt Sikha Deta Hai
Waqt insaan ko siikhha deta hai ajab gajab cheezein
Phir kya naseeb, kya muqaddar aur kya hath ki lakerein