Girna bhi achcha hai
Aukaat ka pataa chalta hai
Badhte hain jab hath uthane ko
Apno ka pataa chalta hai!
Jinhein gussa aata hai
Woh log sachche hote hain
Maine jhoothon ko aksar
Muskuraate huye dekha hai
Seekh raha hoon main
Ab bhi insanon ko padhne ka hunar
Suna hai chehre par
Kitaabon se zyada likha hota hai.
Kya Bharosa Hai Zindagi Ka
Kya bharosa hai zindagi ka
Insaan bulbula hai paani ka
Jee rahe hain kapde badal badal kar
Ek din ek kapde mein le jaayenge kandhe badal kar.
More Hindi Shayari
Girna Bhi Achcha Aai
Waqt Sikha Deta Hai
Waqt insaan ko siikhha deta hai ajab gajab cheezein
Phir kya naseeb, kya muqaddar aur kya hath ki lakerein
Deewaron Ke Kaan
Bezaan cheezon ko badnaam karne ke
Tareeke kitne aasan hote hain
Log sunte hain chhup chhup ke baatein
Aur kehte hain ke deewaron ke bhi kaan hote hain.