Savan ki pehli barish mein bachpan mein nahana yaad hai,
Rim-jim rim-jim tap-tap tap-tap barish ka gana yaad hai.
Wo badlon ke majme ko dekh kar wo hum sabka shor machana,
Wo bheeg-bheeg kar nach-nachna ban kar deewana yaad hai.
Badlon ka garajna bijli ka chamakna savan ki barsaat me,
Koyal ka metha-metha pyara-pyara sundar tarana yaad hai.
Masti mein doob jana sab bandishe bhool khushiyan manana,
Zameen pe gire paani mein sab dosto ko bheegana yaad hai.
Baarish ke pani ko chakhna mausam ki pehli barsaat mein,
Wo chote-chote haton se kagaz ki kashti chalana yaad hai.
Badlon ke piche daud lagana badi zor-zor se shor machana,
Wo pyare-pyare khel-khelna bachpan ka aafsana yaad hai.
Savan ki pehli barish mein bachpan mein nahana yaad hai,
Rim-jim rim-jim tap-tap tap-tap barish ka gana yaad hai.
Barish Shayari
Barish Shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought. So don't waste your beautiful thoughts but share your Barish Shayari with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your barish shayari with world and we encourage all types of poetry in different languages like Urdu Barish Shayari, Hindi Barish Shayari etc. So, what are you waiting for, Just start posting your Barish Shayari. If you like any barish shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris.
Gham ki baarish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi,
Tu ne mujh ko kho diya, main ne tujhe khoya nahi.
Neend ka halka gulaabi sa khumaar ankhon mein tha,
Yun laga jaise woh shab ko der tak soya nahi tha.
Har taraf deewar-o-dar aur un mein ankhon ke hujoom,
Keh sake jo dil ki halat woh lab giya nahi.
Jurm ADAM ne kiya aur nasal e adam ko saza,
Kaat-ta hoon zindagi bhar main ne jo boya nahi.
Janta hoon ek aise shakhs ko main bhi *MUNIR*
Gham se patthar hogeya lekin kabhi roya nahi.
Yeh barishein bhi tum si hain,
Jo baras gayi to bahar hain,
Jo thehar gayi to qarar hain,
Kabhie aa gayi yun hi besabab,
Kabhie chha gayi yun hi Roz o Shab
Kabhie shor hain, Kabhie chup si hain,
Kissi Yaad mayn kissi Raat ko,
Yeh barishein bhi tum si hain,
Ek dabi hui si raakh ko,
Kabhie yun huwa ka bujha dia,
Kabhie khud se khud ko jala dia,
Kahin boond boond mein gum si hain.
Yeh barishein bhi tum si hain,
Dard ki baarish sahi maddham zara aahista chal,
Dil ki mitti hai abhi tak nam zara aahista chal.
Tere milane aur phir tere bichhar jaane ke beech,
Fasla rusvaai kaa hai kam zara aahista chal.
Apane dil hi mein nahin hai us ki maharumi ki yaad,
Us ki aankhon mein bhi hai shabnam zara aahista chal.
Koi bhi ho ham-safar 'Rashid' na ho khush is qadar,
Ab ke logon mein vafa hai kam zara aahista chal.
Kisi roz barish mein ghar se nikalna,
Khizaan mein gire tute patton pe chalna,
Tapakne lage jab darakhton se pani,
Tumhein yaad ayegi beeti kahani,
Ke jab hum kisi shaam tum se mile the,
Mohabbat ke raston pe hum tum chale the,
Teri neeli aankhon mein rang-e-wafa tha,
Kanwal jheel mein jaise khilne laga tha,
Woh sadiyon ke kisse wo batein purani,
Karein yaad kyon kar woh beeti kahani,
Chita kaghzon ki hai kya khojte ho,
Bujhi raakh mein ab kise dhoondhte ho,
Gagan pe jo chhapai thi kis ne mita di,
Dhanak saat ranghon ki kis ne udaa di,
Mohabbat ki shama jala di bujha di,
Ajab ek kahani hai rang-e-wafa ki.
Barishon ke mosam mein,
Tum ko yaad karney ki,
Aadatien purani hain!....,
Ab ki bar socha hai,
Aadatien badal dalein,
Phir khayal aaya ke ,
Aadatein badalne se,
Barishein nahin rukti.
Aaj halki halki baarish hai,
Aaj sard hawa ka raqs bhi hai,
Aaj phool bhi nikhre nikhre hain,
Aaj un main tumhara aks bhi hai,
In barishon se adab-e-mohobbat seekho faraz,
Agar yeh ruth bhi jayein to barasti bohot hain.