Kalam thi hath mai likhna sikhaya aapne,
Takat thi hath mai hosla dilaya aapne,
Manzil thi samne rasta dikhaya aapne,
Hum to sirf dost the, Aashiq banaya aapne.
Woh Pal
Sukun milta hai jab unse baat hoti hai
Hazar raaton mein wo ek raat hoti hai
Nigah uthakar jab dekhte hain wo meri taraf
Mere liye wohi pal poori kaaynat hoti hai.
More Romantic Shayari
Hum To Sirf Dost The
Yaadein Basa Ke
Pyar karo to hamesha muskura ke
Kisi ko dhokha na do apna bana ke
Kar lo yaad jab tak hum zinda hain
Phir na kehna ke chale gaye dil mein yaadein basa ke
Mujhe Inkar Nahin
Teri mohabbat se mujhe inkar nahin
Kaun kehta hai jaan mujhe tujhse pyar nahin
Tujhse vaada hai sath nibhane ka
Par mujhe apni saanson pe aitebar nahin.