Barsat ki bheegi raaton mein fir koi suhani yaad aayi,
Kuchh apna jamana yaad aaya kuchh unki jawani yaad aayi,
Hum bhool chuke the jisne hamein duniya mein akela chhor diya,
Jab gaur kiya to ek surat jaani pehchani yaad aayi.
Dharti se sawan ki bundein
Dharti se sawan ki bundein milne jab bhi aati hain,
Uski shikayat karti hain kuchh apna dard sunati hain.
Kuchh rishte naye banati ehsaas naya de jati hain,
Har ek kali ko phool baag ko gulshan kar jati hain.
Chahat nayi si hoti hai armaan naya de jati hain,
Kuchh khushi ke pal kuchh muskan nayi de jati hain.
Dharti se sawan ki bundein milne jab bhi aati hain,
Uski shikayat karti hain kuchh apna dard sunati hain.
Sukhe kheton se jab saundhi si khushboo aati hai,
Suni aankhon mein phir se ek khwab naya de jati hai.
Kahin pyar naya hota hai kahin judaai de jati hai,
Kahin sawan ke jhoole kahin birha ke geet sunati hai.
Dharti se sawan ki bundein milne jab bhi aati hain,
Uski shikayat karti hain kuchh apna dard sunati hain.
More Barish Shayari
Aye barish zara tham ke baras,
Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras,
Pehle na baras ki woh aa na sake,
Phir itna baras ki woh ja na sake.
Kisne bheege hue baalon se ye jhatkaa pani,
Jhoom ke aayi ghata toot ke barasa pani.
Koi matawali ghata peeke jawani ki umang,
Dil baha le gaya barsat ka pehala pani.