Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage.
Raat Chup Hai
Raat chup hai magar chand khamosh nahi,
Kaise kahoon aaj phir hosh nahin,
Is tarah dooba hoon teri mohabbat ki gahrai mein,
Hath mein jaam hai aur peena ka hosh nahin.
More Sharab Shayari
Pee ke raat ko
Aashikon ko mohabbat ke alava
Aashikon ko mohabbat ke alava agar kuchh kaam hota,
Toh maikhane jake har roz yun badnam na hota,
Mil jaati chahne wali usse bhi kahin raah mein koi,
Agar kadmon mein nasha aur hath mein jaam na hota.
Aisi kiran hoon
Aisi kiran hoon, jise suraj ne kabhi apna nahin samjha,
Aisi khusbu hoon, jise phoolon ne apna nahin samjha.
Aisi dhadkan hoon, jise dil ne kabhi apna na samjha,
Lekin khushnaseeb hoon, jo is sharabi ko maikhane ne apna samjha.