Hain ek barish ke roop kitne
Wohi hai badil, wohi ghata hai
Ye raaz kya hai
Tamaam qatre zameen par ek saath aa kar girte hain
Phir bhi sab ek se nahin hain
Ke jaise naghma, bohat se saazon se mil ke banta hai
Aur phir bhi
Tamaam saazon ka apna apna alag tashakhuss hai
Jaise pairon ke sabz patte
Ke sabz ho ke bhi apni rangat ke ek ek hisse mein
Saare patton se mukhtalif hain
Kabhi jo barish ki rutt mein main aankhon ko band kar ke
Main sirf us ki nirali sadyein sunta
Aur un mein bante tarha tarha ke suron ko chunta hoon.
Kash meri zindegi mein
Kash meri zindegi mein aaye ek aisi barsaat
Mere hath mein ho tera hath
Bheegte rahein hum saari raat
Honth rahe khamosh
Bas aankhon se ho teri meri baat
More Barish Shayari
Is barish mein mujhe tera pyar bhi
Kachchi mitti ki maanind laga
Ke jaise chand lamhon ki inayaton ke baad
Zameen ko sara saal pyasa rehna hai.
Barishon ka mausam hai
Rooh ki fizaaon mein
Ghamzada hawaaein hain
Be-sabab udaasi hai
Is ajeeb mausam mein
Be-qarar raaton ki
Be-shumaar baatein hain
Un-ginat fasane hain
Jo bohat khamoshi se
Dil pe sehte phirte hain
Aur ba-amer-e-majboori
Sab se kehte phirte hain
Aaj mausam achcha hai
Aaj hum bohat khush hain.