Kaate nahin kat-te lamhe intezaar ke,
Nazaren bichaye baithe hain raste pe yaar ke,
Dil ne kaha dekhe jo jalwe husne yaar ke,
Laya hai unhe kaun falak se utaar ke.
Shayari from Film "Sarfarosh"
Apni aakhon ke samunder main utar jaane de,
Tera mujrim hoon, mujhe doob ke mar jaane de.
Zakham kitne teri chaahat se mile hain mujhko,
Sonchta hoon kahoon tujhse, magar jaane de.
~:~:~:~:~:~::~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:
Phool khilte hain baharon ka samaa hota hai,
Aise mausam mein hi to pyaar javaan hota hai.
Dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
Ye fasaana to nigaahon se bayaan hota hai.
More Bollywood Shayari
Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai,
Hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai.
Jab aata hai tera naam mere naam ke saath,
Naa jano kyon log hamare naam se jalte hai.
Dil ke chhalon ko koi shayari kahe,
To dard nahi hota.
Takleef to tab hoti hai,
Jab log wah-wah karte hain
~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~
Apne hisse ki zindagi to hum kabke jee chuke,
Ab to sirf dhadkanon ka lihaj karte hain,
Kya karen is duniya walon ka,
Jo aakhari dhadkano pe bhi aitaraz karte hain.