Yaadon se salaam leta hoon,
Waqt ke haath thaam leta hoon,
Zindege tham jaati hai pal bhar ke liye,
Jab mein hathon mein sharab-a-jaam leta hoon.
Sharab Shayari
Sharab Shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought. So don't waste your beautiful thoughts but share your Sharab Shayari with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your sharab shayari with world and we encourage all types of poetry in different languages like Urdu sharab shayari, Hindi sharab shayari etc. So, what are you waiting for, Just start posting your sharab shayari. If you like any sharab shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris.
Yeh dil sharabi hai,
Har kadam par machal jata hai,
Tum gar chhod ke jao to bhi gham nahin,
Yeh roz naye maikhane se dil behlata hai.
Nasha-e-gham mein shayari,
Likhne ka alag sa maza aata hai,
Main nahin dalta ras shayari mein,
Ye to sharab ke sang aa jata hai.
Dard-e-gham itna mila ki ghabra ke pee gaye,
Thodi si khushi mili to mila ke pee gaye,
Yun to na thi pahle se pine ki aadat lekin,
Bewafaa kii bewafaai ko bhula ke pee gaye.
Kutch peete hain nasha chadaane ke liye,
Kutch peete hain gham bhulaane ke liye.
Jaane kyun duniya kehti hai sharab ko bura,
Sharabi to peeta hai muskuraane ke liye.
Bewafai ki jab usne di dhamki mujhe,
Keh diya maine ki dekha jaayega.
Pee lee hai do ghoont sakhi maine,
Maikade se kaun pyaasa jaayega.
Sharabi bankar khush ho leta hoon,
Har jaam se dard bhar leta hoon,
Ek bewafa ka nasha to mujhe har pal rehta hai,
Is sharab se thoda hosh sambhal leta hoon,
Kaho saqi se muje aur peene de,
Yaron thoda apne liye bhi jee leta hoon.
Chaaron taraf tanhaai ka saya hai,
Zindagii mein pyaar kisne paya hai,
Hum yaadon mein jhoomte hain unki,
Aur zamana kehta hai aaj phir peekar aaya hai.