
Khilti kaliyaan ho gumnaam savera ho,
Woh chand ki kashti ho, lage har shaks pyaara ho,
Kisse koi sunaye mujhe pyaar ke hazzar,
Basa ho sabke zehan mein sirf pyaar hi pyaar,
Wada koi kare mujhse aur duniya ki sair karaye,
Seene se lipte khawabon ka koi ehsaas karaye,
Bhula de jo har gham har dukh mera ek pal mein,
Bas jaaye koi is kardar mere dil mere jehan mein,
Raat khile aur chandani usko pyaar se pukaare,
Kahe aaja sajan hum to sirf or sirf hai tumare,
Kagaz khud se likh pyaar ka raag subko sunaye,
Hawayein gayein aur fizaayein pyaar ka kissa sunaye,
Sar rakh kar hum sanam ki bahoon mein kho jaayein,
Khawab mera chupke haqiqat mein badal jaaye,
Sajaye ek pyaar ka ashiyaana hum sanam ke sang,
Sajan ki chah mein feeka pad jaaye har khilkhilata rang,
Koi jaldi se mujhe us jahan mein le jaaye,
Jahan par poori hoti hai har shakhs ki dil ki duayein,
Bheegi palkon ko meri khushi ka ehsaas dila de,
Mujhe mein kho kar koi mujhe mujhse wakif kara de.
