
Bichhad gaya hai jo uska saath kya mangu,
Zara si umr hai gham se nijat kya mangu,
Woh saath hota to zaruratein bahut hoti,
Akeli jaan ke liye kaynat kya mangu.

Shayari: When we think to express our emotions, love & affection and care ofcourse, we think about Shayari so this is for sure that Sher O Shayari is somewhere connected to our heart and our deep emotions. Shayari can say everything in its own beautiful way. Expression of love which is generally tough for all of us but Shayari makes it so simple, fill your emotions into it and guess what your love accepts you whole heartedly. Not only the expression but pain of a heart break can be beautifully moulded into words in shayari. There are many languages to express yourself and show your feelings but the most effective and powerful way is of course the world of Shayaris. Shayari give us inner strength to express our feelings and it gives us words to also. You are at the right place now, because you will be getting Shayari on every possible category like Hindi Shayari, Love Shayari, Funny Shayari, Romantic Shayari, Sad Shayari, Punjabi Shayari, Dosti Shayari, Sharab Shayari, Flirting Shayari, Birthday Shayari, Bollywood Shayari etc.
Bichhad gaya hai jo uska saath kya mangu,
Zara si umr hai gham se nijat kya mangu,
Woh saath hota to zaruratein bahut hoti,
Akeli jaan ke liye kaynat kya mangu.
Woh kareeb hi nahi aaye to izhar kya karte,
Khud bane nishana to shikar kya karte,
Mar gaye par khuli rahi aankhein...
Is se zyada kisi ka intezar kya karte.
Unhein jo khud par itna naaz hai to ismein kuchh ghalat bhi nahi,
Ke jis ko hum chahein, woh kyon na khud par naaz kare.
Jo nahi aata uska intezar kyon hota hai?
Kisi ke liye apna yeh haal kyon hota hai?
Waise to duniya mein kafi cheezein pyari hain,
Jo nahi milta usi ka intezar kyon hota hai.
Jalate hain hum apne dil ko diye ki tarah,
Teri zindagi mein khushiyon ki roshni lane ke liye.
Seh jate hain har chubhan ko apne pairon tale,
Teri rahoon mein phool bhichane ke liye.
Chand tare zameen par lane ki zid thi,
Hamein unko apna banane ki zid thi,
Achcha hua woh pehle hi ho gayi bewafa,
Warna unhe pane ko zamana jalane ki zid thi.
Main nazar se pee raha hoon, yeh shama badal na jaaye,
Na jhukao tum nigahein, kahin raat dhal na jaaye.
Meri zindagi ke maalik, mere dil pe haath rakhna,
Tere aane ki khushi mein, kahi mera dam nikal na jaaye.
Mohabbat, chahat, wafa kuchh bhi nahi,
Zindagi gham ke siva kuchh bhi nahi,
Tumhare pass mere siwa sub kuchh hai,
Mere pass tumhare siwa kuchh bhi nahi.