»
»
Hindi Shayari

Hindi Shayari

Hindi Shayari of this site is a beautiful concept to share the thought about Shayari. So don't waste your cute thoughts and hindi shayari but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari with world and we encourage all types of hindi poetry like Hindi SMS Shayari, Original Hindi Shayari. So, what are you waiting for, Just start posting your Hindi Shayari. If you like any Hindi Shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these Hindi Shayari.

Zindagi haseen hai
Zindagi haseen hai

Zindagi haseen hai zindagi se pyar karo,
Ho raat to subah ka intzar karo,
Wo pal bhi aayega jis pal ka intzar hai apko,
Bas rab pe bharosa aur waqt pe aitbar karo.

Facebook Comment
Mushkilon mein bhag jana
Mushkilon mein bhag jana

Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai,
Har pehlu zindagi ka imtihan hota hai,
Darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein,
Aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai.

Facebook Comment
Uthati lehron ko
Uthati lehron ko

Uthati lehron ko saahil ki darkaar nahin hoti,
Hauslon ke aage koi deewar nahi hoti,
Jalte hue ik chiraag ne aandhiyon se kaha,
Himmat hai to bujha ke dikha, jalne ke liye mujhe kono ki darkaar nahi hoti.

Facebook Comment


loading...
Soch ko badlo
Soch ko badlo

Soch ko badlo, sitare badal jayenge,
Nazar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiyan badalne ki zarurat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.

Facebook Comment
Manzil unhi ko milti hai
Manzil unhi ko milti hai

Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno mein jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udan hoti hai.

Facebook Comment
Lehron ko shaant dekh kar
Lehron ko shaant dekh kar

Lehron ko shaant dekh kar yeh mat samjhna
Ki samandar mein ravani nahi hai,
Jab bi uthenge toofan ban kar uthenge,
Abhi uthne ki thani nahi hai.

Facebook Comment
Aankhon mein khushi
Aankhon mein khushi

Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho,
Aapko jahan ki saari khushiyan mile, in khushiyon ki kabhi sham na ho!!!

Facebook Comment
Ek Kattar Insaan Na Mila
Ek Kattar Insaan Na Mila

Hindustan bhi mila, Pakistan bhi mila,
Kattar Hindu bhi mila, kattar Musalman bhi mila,
Gham man mein bas ek yehi hai doston,
Is jahan mein ek kattar insaan na mila.

Khoon, dange, laathi, goli har jagah mile,
Par kahin man ki shanti ka paigham na mila,
Eham ka nasha, phir veham ka nasha
Par satya mein dubo de aisa jaam na mila.

Raam aur Raheem to kai jagah mile
Par sabko saadhta ek bhagwan na mila
Khuda bhi ro raha hai bat bat ke dekh lo
Use insaan se jahan mein sahi maan na mila.

Mazhab ke naam to pal bhar mein rakh diye,
Kyon insaan ke dharm ka koi naam na mila,
Gham bas man mein ek yehi hai doston,
Is jahan mein ek kattar insaan na mila,
Is jahan mein ek kattar insaan na mila.

Facebook Comment


First Previous 1 2 3 4 5 6 7 8 9   .  .  . 18 Next Last
Shayari Categories
loading...