»
»
Dosti Shayari

Dosti Shayari

Dosti shayari or friendship shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about friendship. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari on dosti with world and we encourage all types of friendship poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi friendship shayari etc. So, what are you waiting for, just browsing our shayaris. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on friendship.

Duaon mein shamil ho
Duaon mein shamil ho

Duaon mein shamil ho is tarah,
Phoolon mein hoti hai khushbu jis tarah.
Khuda aapki zindagi mein itni khushiyan de,
Dharti par hoti hai baarish jis tarah.

Din beet jaate hain
Din beet jaate hain

Din beet jaate hain suhani yaadein bankar,
Baatein reh jaati hain kahani bankar,
Par dost to hamesha kareeb rahenge,
Kabhi muskaan to aankhon ka pani bankar.

Dosti nahi dekhi
Dosti nahi dekhi

Jisne chand ki roshni nahi dekhi.
Jisne phulon ki tazgi nahi dekhi.
Jo yeh kehte hain ke mitt jati hai dooriyon se dosti,
Usne shayad hamari dosti nahi dekhi.

Aapki aankhon mein
Aapki aankhon mein

Aapki aankhon mein milegi hamein panah,
Chahe samjho dil lagi ya samjho gunah,
Bhaley hi hamein koi deewana qarar de,
Hum to ho gaye aapki dosti mein fanaa.

Karzdaar hain hum khuda ke
Karzdaar hain hum khuda ke

Teri dosti ne bahut kuchh sikha diya,
Meri khamosh duniya ko jaise hansa diya,
Karzdaar hain hum khuda ke,
Jisne aap jaise dost se mila diya.!!!!

Hum se kam na mile
Hum se kam na mile

Dosti ki rahon mein kabhi akelapan na mile,
Aye dost zindagi mein tumhe kabhi gham na mile,
Dua karte hain hum khuda se,
Tuhme jo bhi dost mile hum se kam na mile.

Hakeekat samjho ya afsana
Hakeekat samjho ya afsana

Hakeekat samjho ya afsana;
Begana kaho ya deewana;
Suno mere dil ka fasana;
Teri dosti hai mere jeene ka bahana.

Aapki hi yaad kyun aati hai
Aapki hi yaad kyun aati hai

Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
Apki yadon ko seene se lagaya hai,
Pata nahi yaad aapki hi kyon aati hai,
Dost to hamne auron ko bhi banaya hai.

Hamara Intejar Rakhna
Hamara Intejar Rakhna

Fasle mita kar aapas mein pyar rakhna,
Dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna,
Bichhad jayein jo kabhi aap se hum,
Aankhon mein hamesha hamara intejar rakhna.

First Previous 1 2 3 4 5 6 7 8 9   .  .  . 25 Next Last